Saturday 5 May 2012

Kash Wapas Aa Jaayein Wo Din....

Kash wapas aa jayein wo din,
jab raha na jata tha dosto ke bin
Class mein baithkar faltu mein hasna,
aur jab mile number toh rona
Saath mein baithkar lunch karna,
apne se zaada auron ka khana
Class se bahar jaane ke mauke dhundhna,
aur chutti ke baad bhagna
Jab nahi hota tha homework pura,
toh mazaak nahi banta tha kabhi adhoora
Sabse zaruri hote the dost,
unke bina kat ta nahi tha ek bhi roz
Kash wo dost dubara mil jate,
dil mein shararat ke phool khil jate
Kash wapas aa jaayein wo din,
jab raha na jata tha dosto ke bin.....

No comments:

Post a Comment